en

Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai
Install Now
Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai
Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai

Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai

This App is the collection of the Best Shayri of Dr Rahat Indori

Developer: Delight Dev
App Size: 9.2M
Release Date: May 5, 2020
Price: Free
4.9
7 Ratings
Size:
9.2M
Download APK
Google Play

Screenshots for App

Mobile
? Anybody who has an interest in Urdu or Hindi Poetry must know Dr Rahat Indori. He is famous for his Urdu Shayri, Ghazals and Poetry. He is a great Hindi Lyricists and has written hundreds of Hindi poetry in Hindi. Dr Rahat Indori was born on 1 January 1950 in Indore, Madhya Pradesh.

? Is App me aap urdu ke jane mane shayar Dr Rahat Indori ki mashoor shayari padhege. Yha aapko unke dwara likhi gai urdu shayari aur ghazal milegi jo unke chahne walon ne bahut pasand ki hai. Agar aap Indori saab ki shayari in Hindi padhna chahte hai to ye app aapke liye bilkul sahi sabit hogi.

?????????

?"Bulati hai magar jaane ka nai
Ye duniya hai idhar jaane ka nai

?Mere bete kisi se ishq kar
Magar had se gujar jaane ka nai

?Kushaada zarf hona chahiye
Chhalak jaane ka bhar jaane ka Nai

?Sitare noch kar le jaaunga
Mein khali haath ghar jaane waala nai

?Waba faili hui hai har taraf
Abhi maahaul mar jaane ka nai

?Wo gardan naapta hai, naap le
Magar zaalim se dar jaane ka nai"

?????????


?Ye Dr sheb ki bahut hi mashoor shayri hai. Unki is Shayri in social media par dhoom machaai hai. Unki video viral hui hai. Tik-Tok par bhi bahut share hui hai. Is shayari par bahut jayada meme social media par viral huye hai. Bahut is logo ko to ye pta bhi nhi ki ye Dr Rahat Indori ki shayri ke lyrics hai.

??Rahat Indori shayri- 2 Lines??

?Maine Apni Khushk Aankhon Se Lahoo Chalka Diya,
Ik Samandar Keh Raha Tha Mujhko Paani Chahiye.

?Bahut Guroor Hai Dariya Ko Apne Hone Par,
Jo Meri Pyaas Se Uljhe Toh Dhajjiyan Ud Jayein.

?Aate Jate Hain Kayi Rang Mere Chehre Par,
Log Lete Hain Mazaa Zikr Tumhara Kar Ke.

?? Rahat Indori Shayri- 4 Lines ??

?Ab Na Main Hun, Na Baaki Hai Zamane Mere,
Fir Bhi MashHoor Hain Shaharon Mein Fasane Mere,
Zindagi Hai Toh Naye Zakhm Bhi Lag Jayenge,
Ab Bhi Baaki Hain Kayi Dost Puraane Mere.

?Loo Bhi Chalti Thi Toh Baad-e-Shaba Kehte The,
Paanv Failaye Andheron Ko Diya Kehte The,
Unka Anjaam Tujhe Yaad Nahi Hai Shayad,
Aur Bhi Log The Jo Khud Ko Khuda Kehte The.

?Haath Khali Hain Tere Shahar Se Jate Jate,
Jaan Hoti Toh Meri Jaan Lutate Jate,
Ab Toh Har Haath Ka Patthar Humein Pehchanta Hai,
Umr Gujri Hai Tere Shahar Mein Aate Jate.

?Chehron Ke Liye Aayine Kurbaan Kiye Hain,
Iss Shauk Mein Apne Bade Nuksaan Kiye Hain,
Mehfil Mein Mujhe Gaaliyan Dekar Hai Bahut Khush,
Jis Shakhs Par Maine Bade Ehsaan Kiye Hain.

?Teri Har Baat Mohabbat Mein Ganwara Karke,
Dil Ke Bajaar Mein Baithe Hain Khasaara Karke,
Main Woh Dariya Hun Ke Har Boond Bhanwar Hai Jiski,
Tumne Achha Hi Kiya Hai Mujhse Kinaara Karke.

?Aankhon Mein Pani Rakho Hontho Pe Chingari Rakho,
Zinda Rahna Hai Toh Tarkeebein Bahut Saari Rakho,
Ek Hi Nadi Ke Hain Yeh Do Kinare Dosto,
Dostana Zindagi Se Maut Se Yaari Rakho.

?Ajeeb Log Hain Meri Talash Mein Mujhko,
Wahan Par Dhoondh Rahe Hain Jahan Nahi Hun Main,
Main Aayino Se Toh Mayoos Laut Aaya Hun,
Magar Kisi Ne Bataya Bahut Haseen Hun Main.

?Ajnabi Khwahishein Seene Mein Daba Bhi Na Sakun,
Aise Ziddi Hain Parinde Ke Uda Bhi Na Sakun,
Foonk Dalunga Kisi Roj Main Dil Ki Duniya,
Yeh Tera Khat To Nahi Ke Jala Bhi Na Sakun.

?Haath Khali Hain Tere Shehar Se Jaate-Jaate,
Jaan Hoti Toh Meri Jaan Lutate Jaate,
Ab Toh Har Haath Ka Pathar Humein Pehchanta Hai,
Umar Gujri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate.


?? Rahat Indori Shayri-Ghazals ??
?Tajalliyon ka naya daayra banaane mein;
Mere chiraag lage hain hawa banaane mein.

?Ade the zid pe ke suraj banaake chhodenge;
Paseene chhoot gaye ek diya banaane mein.

?Meri nigaah mein wo shakhs aadmi bhi nahi
Jise laga hai zamaana khuda banaane mein

?Abhi inhein na parishaan karo masihaaon
Mareez uljhe hue hain dawa banaane mein

?Tamaam umr mujhe dar-ba-dar jo karte rahe
Lage hue hain mera maqbara banaane mein

?Ye chand log jo basti mein sabse achhe hain
Inhi ka haath hai mujhko bura banaane mein

Aise hi bahut saari shayri aapko is app par milegi.

Thank You.
Show More
More Information about: Rahat Indori Shayri- Bulati Hai Magar Jaane ka nai
Price: Free
Version: 1.1
Size: 9.2M
Release Date: May 5, 2020
Content Rating: Everyone
Developer: Delight Dev
Developer Apps:
Recent Releases

Whatsapp
Vkontakte
Telegram
Reddit
Pinterest
Linkedin
Hide